Delhi Pollution: Yeh Sehar Nhi ‘Smog’ Ki Mehfil Hai
Delhi Pollution: Yeh Sehar Nhi ‘Smog’ Ki Mehfil Hai
“Jab baat aati khud ke sehar ki
Toh badi chaud mei kehte dete hai
Hum dil walon ke sehar dilli se hai
Par Delhi ke dil ki hume parvah nahi
Dilli k dill ki humne aisi ki taisi kar di
Ek mauka nahi choda
Jab dilli ke dil toh kya uske pure wajood ko humne hila diya
Lakh swachta abhiyan chalaye gaye par
Swachta divas par jhaadu ke sath selfie lene ke alawan humne dilli ke muh pe ya toh thooka ya kooda feka
SC ki suggestions aur orders ke bawajood bhi hum apne hindutva ki bhavna ko dhote rahe
Aur hazaaron lakhon ya croron ki tadat mei diwali ke mauke par patakhawali mannane se bhi hum chooke nahi
Aur ab jab humari karani ka fal hume dhuul smog aur khasi jukham aur samman jaisi anek bimariyon se mil raha hai tab bhi hum kya kar rahe hain?
Yaar bahar bahut pollution hai
Ab dilli rehne layak nahi rah gai hai
Jaisi betuki baton se apna mann bhar rahe hain
Iss pure sal dilli ne hume kai saugaten di museums bridges memories etc etc ke sath cold and cough, asthama, heart diseases aur
Ab
Humare sath sath dilli bhi til til kar mar rahi hai
Toh abhi jagon logon
Durghatna se der bhali
Ab bhi sambhal jao aur sambhal lo apani aur apani dilli ki sehat ko.”
Have a news story, an interesting write-up or simply a suggestion? Write to us at INFO@ONEWORLDNEWS.COM